Jamane ne rulaya hai humko,
Ek aapne rula diya to kya gunah kiya,
Juda kiya hai jamane ne humko khud se,
Ek aapne bhula diya to kya gunah kiya.
Arsa hua kisi muskurahat ki jhalak dekhe,
Sadiyan beet gayin chidiyon ki chehek dekhe,
Humare apno ne thukraya hai humko,
Ek aapne mooh pher liya to kya gunah kiya,
Ab to humsafar mera bus meri tanhayi hai,
Dar lagta hai jisse wo meri parchayi hai,
Jindagi ne kiya hai hansi majak humse,
Ek aapne kar diya to kya gunah kiya.
Jamane ne rulaya hai humko,
Ek aapne rula diya to kya gunah kiya,